Welcome Dosto. Bahut se Friends ne hamse pucha ki Whatsapp par Live Train Status kaise check kare ? Dosto ye bahut hi asaan tarika hai. To chahiye jaan lete hai ki Whatsapp par Running Train Status Kaise Check Kare?
Kyu Start Kiya gya Whatsapp par Live Train Status check karna?
Doston agar aap Train se yatra karte hai to aap ko pta hi hoga ki Live Train Status (Hamari Train kaha par hai) ki kitni jyda jarurt hai. Aur aap ne apne train ka Status pta karne ke liye Indian Railway Enquiry Number 139 par call to kiya hi hoga. Aur paresan bhi hue honge. Kyuki ye sahi tarike se kaam nhi karta. Aur kuch aise bhi Places hai jaha se call karne par Network ki wajah se Call nhi lagta hai.
Isliye Whatsapp par Live Train Status check karna Start kiya gya. joki bharat sarkar aur MakeMyTrip Naam ki website ne mil kar start kiya hai. Kyuki Net speed kitni bhi Slow ho Whatsapp ke messages Send aur Receive ho jate hai.
Whatsapp par Live Train Status kaise check kare ?
Friends Whatsapp par Live Train Status Check karne ke liye sabse pahle apne mobile phone ke contact list me ek naya mobile number add (save) karna hoga.
Railway Enquiry Whatsapp Number: 7349389104
Ab Apne Jis naam se Ye Number save kiya hai. Use Search karke Open kar lijiye.
Jaise Aap image me dekh rhe hai. Maine Make My Trip naam se save kiya hai.
Ab aap jis train ka Live Status Check karna Chahte hai, Us train ka Number likhiye sur send kar Dijiye. Aap Whatsapp par 4-5 second ke andar hi Make My Trip ki taraf se Reply aa jayega.
Jisme Aap ke Train ke baare me sari jankari hogi. Jaisa ki maine 15017 Likh kar send kiya jo ki Gorakhpur Exp ka Train Number hai. To mujhe pta chla ki ye train 13 Minutes late hai. (Upar image me dekhe)
100% Sahi Data Milta hai : Confirmed
Niche Image me Dekhiye.
Aap bhi isi tarh Whatsapp par Live Train Status Check kar skte hai.
Final Words : Dosto Hame Yakin hai ki aaj aap ko , apne Question Whatsapp par Live Train Status kaise check kare ? Ka uttar mil gya hai. Jo ki bahut asan hai. Ab aap Whatsapp par Chat karte Hue bhi Train ka Stauts check kar skte hai. Network ki Speed aur Railway Enquiry 139 par call karne se Chutkara mila.
इसे भी पढ़े : Apne Blog me Cookies Pop-up Nahi Lagaya To Google Ban Kar Dega Aap Ka Blog.
Post a Comment